Ki kitna patla hai tu aur yeh cheez kabhi na kabhi hum log ke sath aisa hota hai yeh aur zyada khane ki wajah se bhi hum log ko weight gain nahi ho pata. To aaj ke article ke andar main tum logon ko baatne wala hoon ki kaise tum log simple tareeke ko use karke naturally weight ko gain kar sakte ho. To zyada tension mat lo, bilkul easy tareeka bataunga jisse tum log easy tareeke se aur desi tareeke se clean kar sakte ho bina gym ke aur bina supplement ke — yeh bhi mixer kar lo yaar to chalo.
Pehle Ye Samjho – Tumhara Weight Kyun Nahi Badh Raha?
Zyada hi badlav to iska kuch kaaran ho sakta hai jo main tum logon ko neeche bata raha hoon. To dekh sakte ho yaar agar tum log apna meal ko skip karte ho ya phir khana vagaira miss kar dete ho to ho sakta hai ki tumhara weight isse ghat jaye. Aur uske sath agar tumhara fast digestion ya iss cheez ka problem hai to yeh bhi kaaran ho sakta hai. Aur baaki dekho, har kisi ka body alag alag type ka hota hai to agar tumhare body mein digestion ache tareeke se absorb nahi hota to isse bhi ho sakta hai ki tumhara weight gain nahi ho raha hai. Aur physical activity zero karte ho to isse bhi weight gain nahi ho pata. Baaki stress ya neend ki kami ke kaaran bhi weight kam ho sakta hai ya phir weight gain na ho raha ho — aise kaaran ho sakte hain. Baaki chalo kuch kaaran to tum logon ko bata diya ki is wajah se nahi ho raha hai, to chalo abhi se fix karte hain aur batata hoon ki kaise tum log weight ko gain kar sakte ho woh bhi desi jugaad ke sath.
1. Kela (Banana) – Sabse Sasta & Effective
Chalo bhai main abhi fatafat tumko kuch batata hoon — basically fruits batata hoon jo tumhe weight gain karne mein kaafi zyada madad karega. To pehle number pe hai apna kela — aur kela matlab ekdam poora natural product hai aur iske andar zyada kuch chemical bhi nahi use kiya jata, kyunki kela ekdam natural hota hai. Aur pet par yeh ugane ke liye bhi koi chemical use nahi hota to yeh kaafi zyada tasty aur faidemand sabit hota hai. Aur kela kaafi zyada sasta bhi hai — to tum logon ko local market mein easily 2-3 rupaye mein ek kela mil jayega. To baaki tum log isse hafte bhar ke liye le sakte ho.
2. Peanut Butter – High Protein + Healthy Fat
Aur isi ke sath apna doosra jo food hai na woh hai apna peanut butter. Peanut butter kaafi zyada healthy hota hai aur iske andar protein ke sath-sath kaafi matra mein healthy fat hota hai jo ki tumhara weight ko gain karne mein kaafi zyada madad karta hai. Baaki tumhe ye after-market mein bhi dekhne ke liye mil jata hai, lekin agar tum log homemade banana chahte ho to definitely kar sakte ho. Aur homemade banane ke liye tum log YouTube ka madad le sakte ho — YouTube pe tum log search kar sakte ho ki kaise peanut butter ghar pe banate hain. To woh saare video dekhkar tum log ghar pe bhi tayyar kar sakte ho.
3. Dudh + Badam – Protein + Natural Fat Combo
Cream wala doodh hai na — to kaafi zyada tumhara muscles ke liye hoga. Agar tum log badam khate ho — matlab badam ke sath mila kar doodh peete ho to yeh kaafi zyada faidemand sabit ho sakta hai. Product hai matlab product bhool jao.
4. Desi Dal-Chawal with Ghee
Fatafat baat kar lete hain — apna jo fourth food hai woh hai dal chawal. Indian — matlab har ek Indian ghar mein aage ke sath hi dal chawal khaya jata hai. Baaki isi ke andar tum logon ko kaafi zyada matra mein protein, carbohydrates, calories milta hai. Aur usi ke sath tum log ko kaafi zyada matra mein fat bhi milta hai kyunki hum log ghee use karte hain. Aur lunch mein hum log agar yahi khana khayenge to kaafi zyada fat milega. Isse hamara weight kaafi zyada jaldi jaldi hoga.
5. Paneer – Protein Bomb
Fifth food jo hai na woh hai apna paneer. Aur paneer bhi doodh se banta hai — yeh tumko pata hai. To paneer ke sath tum log egg bhi le sakte ho — yeh kaafi zyada acha healthy option hai. Kyunki doodh se banta hai aur iske andar tum logon ko kaafi zyada matra mein protein bhi milta hai. Aur egg ke sath bhi tum log isse mix karke kha sakte ho. To dono ko ek combo bana lo aur dono ko khaya karo — kyunki isse tumhe protein milega aur is type ka muscles gain bhi kaafi zyada tez hota hai na.
6. Dry Fruits (Badam, Kaju, kismis)
Aur jo food hai na woh badam ya phir dry fruits bol sakte ho. Matlab dry food — saare cheez kha sakte ho. Isse tumhara jo fat hai na woh kaafi zyada matra mein milega — kyunki iske andar kaafi zyada energy milta hai. Energy ke sath sath tum logon ko kaafi zyada matra mein fat milta hai — jo ki tumhara health ko matlab healthy fat milta hai. Isse tumhara weight gain kaafi zyada hoga.
7. Aloo (Potato) – Budget Friendly Mass Gainer
Aur jo apna eighth number food hai woh hai potato (aloo). Matlab har koi khata hai yaar — lekin isse tum log ubaal ke kha sakte ho. Daily ek ya do piece. To isse tumhara weight gain karne mein kaafi zyada madad milega. Aur koi bhi sabzi ke sath kha sakte ho — tikki vagaira bana lo, kuch bhi karo yaar. Matlab bas tum log weight ko clean kar sakte ho.
Bonus Tip: Apni Diet Me Continuity Rakho
Market mein matlab saste mein mil jayega — after-market mein. To Indian food hai to isse tum log naturally kha sakte ho. Aur tum log ko gym wagaira jaane ki koi bhi zarurat nahi hai. Supplement ke bina tum log gain kar sakte ho — yeh saare food wagaira kha kar.
Baaki chalo thik hai — aaj ke liye bas itna hi. Milte hain tumko next article ke andar.